Andhere ka Roshan

Chalo gaur farmaya jaye,
Iss choti si duniya ki bheed ko jaagaya jaye,
Pareshan baithe uss chupi se bulwaya jaye,
Attendance ki bhaag-daud ko vinamrata se rukaya jaye,
CIA mein aawaal na aane ki niraashi ko mitaaya jaye,

Chalo gaur farmaya jaye,
Iss choti si duniya ki bheed ko jaagaya jaye,
Humans of CU ke daastaon ka varnan kiya jaye,
Udaas hue chehre ko Khushi mein parivartit kiya jaye,

Chalo gaur farmaya jaye,
Iss choti si duniya ki bheed ko jaagaya jaye,
Iss parisharam ke Marg ko aahista kiya jaye,
Uss chanchal si bhavna ko vapas lautaya jaye,
Ek sanjeeda jeevan ka haath thaama jaye,

Chalo gaur farmaya jaye,
Iss choti si duniya ki bheed ko jaagaya jaye
Apni gaati ko dhairye kar apne aapse pucha jaye,
Andhere mein baithe uss nanhi si rooh ko roshni se ubhara jaye,
Chalo gaur farmaya jaye,
Iss choti si duniya ki bheed ko jaagaya jaye

Comments

Popular posts from this blog

Deewaar ek rukawat..

Kudrat ki Mazak

Today I am tired