Deewaar ek rukawat..

Daraar hai, Deewaar hai,
Ab iss rishte mein jo bikhar gya wo pyaar hai
Ishwaar ki aehmiyaat diya hai apko
Baba sabse zyda chaha hai apko,
Pairon ki maalish, joote ki polish
Dimaag se dhyaan, sharir mein jaan
Raste ki rukawat, teacher ki saalah
Har chiz mein sahara diya apne,
Allah ki taraah

Daraar hai, Deewaar hai,
Ab iss rishte mein jo bikhar gya wo pyaar hai
Dost ki tarah smjhana, Apne kandhon mein rulana
Raat ko der lautne pe daantna, Daaru peete hue pakadna
Na jaane kaha samjh pata main yeh saari cheeze
Agr ap hote na humare peeche

Daraar hai, Dewaar hai,
Ab iss rishte mein jo bikhar gya wo pyaar hai
Ap ho toh roti hai, kapda hai, makaan hai
Na jane yeh kesa morr hai, kesa daur hai,
Kehte ho ap mujhe Najayaaz
Par Baba, 
Apka pyaar, apka dulaar
Apka daantna, apka peetna 
Sab kuch tha mereliye jayaaz

Comments

Popular posts from this blog

Kudrat ki Mazak

Today I am tired